kr k aitabar likh do,

kr k aitabar likh do,
Kitna hai mujh se piyar likh do,
Kat’ti nahi ye zindagi ab tere bin,
Kitna or karun intizar likh do,
Taras rahe hain bari muddat se, 

Iss bar apni mohabbat ka izhar likh do,
Deewaney ho jayen jisay parh k hum,
Kuch esa tum mera piyar likh do,
Ziyada nahi likh sakte to matt likho tum,
Mohabbat bharay lafz do chaar likh do,
Ek bar likho mohabbat hai mujhe tum se,
Phir yehi jumla bar bar likh do.

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai


Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai

Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum
Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai

Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin
Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai

Mere Israr Par Aakhir Bohot Majboor Ho Kar Aaj,

Mere Israr Par Aakhir Bohot Majboor Ho Kar Aaj,
Mujhy Apni Nigahon Ki Udaasi Son'p Di Us Nay.

Bohot Be-Bas Bohot Tanha Bohot Ghamgeen Ho kar Woh,
Bohot Bikhri Mohabbat Ki Haqiqat Khol Di Us Nay.

Khalish Jo Uskay Dill Main Thi, Woh Ab Meri Amanat Hai,
Shikasta Lehjay Ki Jitni Thakan Thi Bol Di Us Nay.

Kabhi Jo Mujh Say Woh Apni Mohabbat  Keh Nahi Paya,
Magar Aaj Apnay Aansu Say, Mohabbat Tol Di Us Nay.

Chashm-e-Saaqi nay kya khail racha rakha hai


Chashm-e-Saaqi nay kya khail racha rakha hai
koi zahid, koi Mai-khwar nama rakha hai

Jo phansa phir na kabhi us nay rehai Maangi,
Teri Zulfon nay ajab jaal bicha rakha hai

Husn Ishq ho dono ka asar yaksaa hai,
Cheez hai magar naam juda rakha hai.

Choom laiti hain latak kar kabhi chehra kabhi Lab,
Tum nay zulfo'n ko bohot sir pay charha rakha hai.

Tero Makh-moor Nigaho'n say hai Ronaq Saaqi
Warna SAAQI Tere Mai-Khanay main kya rakha hai.

Asar dil per karay shikwa,

Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!

Galay lag kar koi roye,
 
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain

faqat ek pal ki furqat mein,
 
Aziat ho to aisi ho..!!

mujhe kanta chubhay aur
 
us ki ankhon se lahu tapke,

talluq ho to aisa ho,
 
MUHABAT ho to aisi ho.

Usay kehna....

Usay kehna.... 

Bazaahir to,

 
Hawaein Badli Badli hain,

Chaman bhi Badla
 Badla hai,

Mager DiL me Tumhari yaad ka Mosam nhi Badla,
 

Teri chahat k
 phoolon ki,

Abhi khushbu
 nhi Bikhri,

Mere Andar Tmhari zaat ka
 Ehsas baqi hai,

Usay kehna..
 

Ye Fitrat ka taqaaza hai,
 

k Mosam to Badaltay hain,

Kabhi Mosam Badalnay se,
 

Ye Aankhein Numm
 nhi kartay,

Dilon me Ghum nhi kartay,
 

Mohabbat kam nhi kartay.....

Kaha na Pyaar hai tum say


کہا ناں ، پیار ھے تم سے

تو پھر کیوں ضد تمہاری ھے

کہ جب بھی میں ملوں تم سے

یہی اظہار ھو لب پہ

مجھے تم سے محبت ھے

تمہیں معلوم ھے جاناں

محبت تو محبت ھے

یہ تو آنکھوں میں دکھتی ھے

حسیں سے خواب کی صورت

اسے کہنا نہیں پڑ تا ،،

بہت چُپ چاپ جز بہ ھے

دبے پاؤں ہی چلتا ھے ،،،

مگر جو نقش اس کے ہیں 

بہت ہی گہرے ھوتے ہیں

اُنہیں کہنا نہیں پڑ تا 

مگر اظہار ھوتا ھے

کبھی باتوں کی خوشبو سے

کبھی آنکھوں کی شوخی سے

تو پھر کیوں ضد تمہاری ھے

کہ جب میں ملوں تم سے

یہی اظہار ھو لب پہ

مجھے تم سے محبت ھے

مگر تم جانتے ھو ناں

تمہاری بات کو جاناں

نہیں میں ٹال سکتی ھوں

چلو میں تم سے کہتی ھوں

مجھے تم سے محبت ھے

Aadhooray khwaab ke under


Aadhooray khwaab ke under

Kabhi palkain bichana mat


Aadhooray khwaab aankhon ko bohat takleef dety hain…


Aadhoori yaad ko dil ki zameen main tum nahi bona

Aadhoori yaad dharkan main bohat chubhti, sisakti hai


Khaalish ban kar khatakti hai


Lahu main bijliyaan ban kar bhatakti hai


Aadhooray pyar ko ..... Lekin chalo jane do iss ko Tum


Mohabbat, Pyar, Chahat, Ishq hote hi Aadhooray hain

Manzar Se Wohi Thathak Rahi Hoon

Manzar Se Wohi Thathak Rahi Hoon
Hayrat Se Palak Jhapak Rahi Hoon,

Yeh Tu Hai Kay Mera Wahmaa Hai
Band Aankon Se TujhKo Tak Rahi Hoon,

Jaise Kay Kabhi Na Tha Ta`aruf
Yoon Milte Howe Jhijar Rahi Hoon,

Pehchaan Main Teri Roshni Hoon
Aur Teri Palak Palak Rahi Hoon,

Kiya CHain Mila Hai, Sar Jo Us Kay
Shaano Pe Rakhe Sisak Rahi Hoon,

Pathar Pe Khuli, Pa Chashm-e-Gul Mein
Kaante Ki Tarah Khatak Rahi Hoon,

Jugnu Kaheen Thak Kay Gir Chuka Hai
Jangal Mein Kahaan Bhatak Rahi Hoon,

Guriya Meri Soch Ki Cheni Kiyaa
BAchi Ki Tarah Bilak Rahi Hoon,

Ek Umr Howi Hai Khud Se Larte
Andar Se Tamaam Thak Rahi Hoon,

Rass Pher Se Joron Mein Jaa Raha Hai
Main Shak Pe Kab Se Pakk Rahi Hoon,

Takhleeq-e-Jamaal-e-Fan ka Lamhaa
Kaliyon Ki Tarah Chatak Rahi Hoon.

Muhabbat Rooth Jaye to



Muhabbat Rooth Jaye to 
Usay Baanhon Main Lay Lena. 

Bohat He Paas kar k Tum 
Usay Jany Nahi Dena. 

Woh Daman Bhi Churaye To 
Usay Tum Qasam De Dena. 

Dilon k Maamlon Main to 
Khataaen ho He Jati Hain. 

Magar Tum in Khataaon ko 
Bahana Mat Bana Lena. 

Muhabbat Rooth Jaye to 
Usay Jaldi Mana Lena.

Mohabbat Hai Mujhy Tum Se,

Mohabbat Hai Mujhy Tum Se,
Bas Itna Janta Hun Main,

Ye Kya Hai? Kyun Hai? Kaisey Hai?
Bataon Kis Tarha Tum Ko?

Chalo Socho Agar Main Tum Se,
Ye Poochun Kisey Kehtay Hain Be-Chaini?

Agar Koi Makeen Dil Ka,
Chala Jaye Kaheen Kuch Din,
To Neendein Kyun Nahi Aateen?

Kabhi Jo Baat Na Ho To Ye Saansen Kyun Nahi Aateen?

Koi Jo Dost Pyara Ho Agar Wo Rooth Jaye To,
Hansi Phir Kyun Nahi Aati?

Chalo Itna Bata Do Tum,
Nikaalain Machli Pani Se,
To Zinda Kyun Nahi Rehti?

To Phir Tum Ko Bataon Ga,
MOHABBAT KAISAY HOTI HAI


uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiiN

uzr aane meN bhii hai aur bulaate bhii nahiiN
baa_is-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhii nahiiN
[Daag Dehlvi]

us ne kahaa itanii mulaaqaat bahut hai

us ne kahaa itanii mulaaqaat bahut hai
maiN ne kahaa ruk jaao abhii raat bahut hai
aaNsoo mere tham jaayeN to phir shauq ke jaanaa
aise meN kahaaN jaaoge barsaat bahut hai
[Unknown]

kahaaN wo shoKh mulaaqaat Khud se bhii na hu_ii

kahaaN wo shoKh mulaaqaat Khud se bhii na hu_ii
bas ek baar hu_ii aur phir kabhii na hu_ii
[Jigar Moradabadi]

munhasir waqt-e-muqarrar pe mulaaqaat hu_ii

munhasir waqt-e-muqarrar pe mulaaqaat hu_ii
aaj ye aap kii jaanib se na_ii baat hu_ii
[Hasrat Mohani]

ye ek shab kii mulaaqaat bhii Ganeemat hai

ye ek shab kii mulaaqaat bhii Ganeemat hai
kise hai kal kii Khabar thoRii door saath chalo
[Ahmed Faraz]

beqaraarii thii sab ummiid-e-mulaaqaat ke saath

beqaraarii thii sab ummiid-e-mulaaqaat ke saath
ab wo agalii sii daraazii shab-e-hijraaN meN nahiiN
[Altaf Husain Hali]

maiN ne maanaa ke mujhe un se muhabbat na rahii

maiN ne maanaa ke mujhe un se muhabbat na rahii
ham_nashiiN phir bhii mulaaqaat se jee Darataa hai
[Hasan Naeem]

na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii

na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii
baRii aarzoo thii mulaaqaat kii
[Bashir Badr]

aaj to mil ke bhii na mile hoN tujh se

aaj to mil ke bhii na mile hoN tujh se
chauNk uThate the kabhii terii mulaaqaat se ham
[Jan Nissar Akhtar]

ab kaun baat rah ga_ii ye baat bhii ga_ii

ab kaun baat rah ga_ii ye baat bhii ga_ii
yaani kabhii kabhii kii mulaaqaat bhii ga_ii
[Mubarak Azeemabadi]

tuu dil pe bojh leke mulaaqaat ko na aa

tuu dil pe bojh leke mulaaqaat ko na aa
milanaa hai is tarah to bichhaRanaa qubool hai
[Unknown]

kal raat zindagii se mulaaqaat ho ga_ii

kal raat zindagii se mulaaqaat ho ga_ii
lab thar-tharaa rahe the magar baat ho ga_ii
[Shakeel Badayuni]

jaane waale se mulaaqaat naa hone paa_ii

jaane waale se mulaaqaat naa hone paa_ii
dil kii dil meN hii rahii baat naa hone paa_ii
[Shakeel Badayuni]

Tajdeed e wafa

Barbad karne ke aur b rastey they

Main fana ho gaya wo badla phir b nahi

Bikhar rahey hain meri zindgi ke tamam warq

Ab q roshni se darte ho Faraz

Jab tera dard mere sath wafa kerta hai ,



Jab tera dard mere sath wafa kerta hai ,
Ik samander meri aankhon se baha kerta hai ,

Uski batein mujhe khushboo ki tarha lagti hain
Phool jaise koi sehra mein khila kerta hai....,

Mere dost ki pehchan yehi kafi hai ......
Wo har ik shakhs ko danista khafa kerta hai,

Aur to koi sabab usski muhabbat ka nahi ,
Baat itni hai ke wo mujh se jafa kerta hai,

Jab khizaa'n aye gi luat aye ga tab wo bhi Faraz,
Wo bahaaron mein zara kam hi mila kerta hai.

dekhaa jo aa_iinaa to mujhe sochanaa paraa

dekhaa jo aa_iinaa to mujhe sochanaa paraa 
Khud se na mil sakaa to mujhe sochanaa paraa 

us kaa jo Khat milaa to mujhe sochanaa paraa 
apanaa-saa vo lagaa to mujhe sochanaa paraa 

mujhako thaa gumaan ke mujh mein hai ek adaa 
dekhii terii adaa to mujhe sochanaa paraa 

duniyaa samajh rahii thii ke naaraaz mujhase hai 
lekin vo jab milaa to mujhe sochanaa paraa 

ik din vo mere aib ginaane lagaa 'Faraz' 
jab Khud hii thak gayaa to mujhe sochanaa paraa

Is se pahale ke bevafa ho jayain

 
Is se pahale ke bevafa ho jayain
kyon na ai dost ham juda ho jayain

tu bhi hire se ban gaya patthar
ham bhi kal kya se kya ho jayain

ham bhi majaburiyon ka uzr karain
aur kahin aur mubtala ho jayain

ishq bhi khel hai nasibon ka
khak ho jayain kimiya ho jayain

ab ke gar tu mile to ham tujh se
aise lipatain teri qaba ho jayain

bandagi ham ne cho.d di hai 'Faraz'
kya karain log jab khuda ho jayain

Main mar mita to woh samjha ye inteha thi meri

Main mar mita to woh samjha ye inteha thi meri
Usay khabar he na thi, khak keemya thi meri
Main chup howa to woh samjha k baat khatm hovee
Phir uss k baad to awaz jabaja thi meri
Jo taana zan tha meri pooshashe dareedah par
Usi k dosh pe raki hovee quba thi meri
Main uss ko yaad karoon bhi to yaad ata nahi
Main uss ko bhool gya hoon yahi saza thi meri
Shikast de gya apna guroor he ussko
Wagerna uss k muqabil bisaat kia thi meri
Kahee dimagh kahee dil kahee badan he badan
Har ekse dosti yaari juda juda thi meri
Main uss ko dekta rahta tha hairato se Faraz
Ye zindagi se ta’aruff ki ibtedaa thi meri!!!

Her Koi Dil Ki Hatheli Pay hai Sehra Rakhe

Her Koi Dil Ki Hatheli Pay hai Sehra Rakhe
Kis Ko Serab Kare Wo Kise Piyasa Rakhe

Umer Bhar Kon Nibhata Hai Taluq Itna
Ay Meri Jan Ke Dushman Tujhe Allah Rakhe

Hum Ko Acha Nahin lagta Koi Hum Nam Tera
Koi Tujh Sa Ho Tu Pir Nam Bhi Tera Rukhe

Dil Bhi Pagal Hai Ke Us Shaks Se Wabsta Hai
Kisi Aour Ka Hone De Na Apna Rakhe

Kam Nahin Tuma Ebadat Bi To Hars-e- Zar Se
Fuqar Tu Wo Hai Ke Jo Deen Na Duniya Rakhe

Huns Na Itna Bhi Faqeeroon Ke Akely Pun Par
Ja Khuda Meri Trah Tujh Ko Bhi Tanha Rakhe

Ye Qinna'at Hai Ata'at hai Ke Chahat Hai Faraz
Hum Tu Razi Hain Wo Jis Haal Main Jaisa Rakhe

Ab kay bichray tu shied KHAWABOUN main milain...

Ab kay bichray tu shied KHAWABOUN main milain...
jis tarha SOOKHY hoye phool kitaboun main milain..

Dhoond ujray hoye logoun main WAFA kay motti..
ya khazanye tujy mumkin hy KHIRABOUN main milain..

GHUM-E-DUNIYA be GHUM-E-YAAR main shamil ker loo..
Nasha bharta hy SHARABIAN jo SHARABOUN main milain..

Tu KHUDA hy na mera ishq FARISHTOUN jessa!!!!..
Dono INSAN hain to kioun itny HIJABOUN main milain..

Ab na WOH hain na woh TU hy na mazi hy FARAZ..
Jessay do SHAKHS tamanah kay SARABOUN main milain..

Mein Uss Shakhs Ko Kesy Manaon

Mein Uss Shakhs Ko Kesy Manaon Faraz 

Jo Mujh Se Rootha Hai Meri Mohabbat Ke Sabab......

chalo aisa karen mil k sitaray bant litey hain

chalo aisa karen mil k sitaray bant litey hain
Zarurat k mutabiq sub sahary bant lety hain

muhabbat karney walon ki tijarat bhi anokhi hay
Munafa chhor dete hai khasaray bant lety hain

Agar milna nahi mumkin to lehron pe qadam rakh kar
Abhi darya-e-ulfat k kinaray bant lety hain

Meri jholi me jitny bhi wafa k phool hain inko
Ikatthay beth kar ik roz saray bant lety hain

muhabbat k elawa paas apny kuch nahi FARAZ
Isi Doulat ko ham qismat k maaray bant lety hain

Woh Jiss Ke Paas Rehta Tha Doston Ka Hujoom

Woh Jiss Ke Paas Rehta Tha Doston Ka Hujoom
Suna Hai FARAZ Kal Raat Ehsas-E-Tanhai Say Mar Gaya

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain

Tujhe hai Mashq E Sitam ka Malaal waise hi

Tujhe hai Mashq E Sitam ka Malaal waise hi 
Humaari Jaan hai, JaaN par wabaal waise hi 

Chala Tha Zikr Zmaane ki Bewafaayi ka 
So aa gaya hai tumhara Khayal waise hi 

Hum aa gaye haiN Tah E Daam to Nasib apna 
Wagarna usne to phenka tha Jaal waise hi 

MaiN rokna hi nahin chahta tha Waar uska 
Giri nahin Mere Haathon se Dhaal waise hi 

Zamaana humse bhala Dushmani to kya rakhta 
So kar gaya hai humaiN Paayemaal waise hi 

Mujhe bhi ShouQ na tha DaastaaN sunane ka 
‘Faraz’ usne bhi poocha tha Haal waise hi

Receive all updates Via Facebook Just Click the Like Button Below