Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar,
Yeh udaas logun ka sheher ha yahan muskuranay ki zid na kar,
Yeh udaas logun ka sheher ha yahan muskuranay ki zid na kar,
Main muhabbatoun ka dasa hua, mera gham hai hadd say barha hua,
Main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar,
Main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar,
Main teri ghazal to nahi hun jo, har ik kay lab per saji rahun,
Main tow aik misra-e-dard hun, mujhay gungunanay ki zid na kar,
Main tow aik misra-e-dard hun, mujhay gungunanay ki zid na kar,
Abhi laot aa abhi waqt ha abhi jan baki ha jism main,
Tujhay ilm hai meri jan hai tu, mujhay aazmany ki zid na kar,
A really amazing sad poetry ghazal is the above. I just loved the
second shair “main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na
kar”. Here is another one…Tujhay ilm hai meri jan hai tu, mujhay aazmany ki zid na kar,
Jo Bhi Dukh Yad Na Tha Yad Aya,
Aaj Kya Jaaniay Kya Yad Aya,
Phir Koi Hath Hai Dil Par Jaisay,Aaj Kya Jaaniay Kya Yad Aya,
Phir Tera Ehd-E-Wafa Yad Aya,
Jis Tarah Dhund Mein Liptay Huay Phool,
Ik aik NaQsh Tera Yad Aya,
Aisi Majburi Ke Alam Mein Koi,
Yad Aya Bhi To Kya Yad Aya,
Aye RafeQ Sar-E-Manzil Jakar,
Kya Koi Aablaapa Yaad Aaya,
Yaad Aaya Tha Bichhadna Tera,
Phir Nahi Yaad Ke Kya Yaad Aaya,
Jab Koi Zakhm Bana Daagh Bana,
Jab Koi Bhul Gaya Yaad Aaya,
Ye Mohabbat Bhi Hai Kya Rog,
Jisko Bhule Wo Sada Yaad Aaya…
Hope you liked my Urdu poetry
No comments:
Post a Comment