Poetry of Allama Iqbal

Poetry of Allama Iqbal

Mein soyi jo ik shab to dekha ye khwab
Barha aur jis say mera istaraab
Ye dekha ke mein jaa rahi hoon kahin
Andhera hai aur rah milti nahi
Larazta tha dar se mera baal baal
Kadam ka tha dehshat se uthna mahal
Jo kuch hosla paa ke aagay barhi
To dekha kataar ek larko ki thi
Zamarud si poshaak pehnay huay
Diye sab ke hatho mein jaltay huay
Wo chup chap thay agay peechay rawaan
Khuda janay jana tha un ko kaha
Isi soch mein thi ke mera laal
Mujhe is jamaat mein aya nazar
Wo peechay tha aur taiz chalta na tha
Diya us ke haathon mein jalta na tha
Kaha meine pehchan kar meri jaan
Mujhe chor kar aa gaye tum kahan
Judai mein rehti hoon mein be qarar
Parooti hoon har roz ushkoon ke haar
Na parwa meri zara tum ne ki
Gaye chor achi wafa tum ne ki
Jo bachay ne dekha mera paich o tab
Diya us ne munh phair kar yun jawab
Rulati hai tujh ko judai meri
Nahi us mein kuch bhi bhalai meri
Ye keh kar wo kuch dair tak chup raha
Diya phir dikha kar ye kehnay laga

Samajhti hai tu hogaya kia isay ?
Teray aansuoon ne hai bujhaya isay !!!!!!

ALLAMA IQBAL

No comments:

Post a Comment

Receive all updates Via Facebook Just Click the Like Button Below