Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos

Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos
Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos

Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos
Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos

Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos
Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos

Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos
Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos

Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos
Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos

Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos
Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos

Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos
Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos

Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos
Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos

Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos
Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos

Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos
Urdu Beautiful Sad And Lovely Poetry Wallpapers And Photos

Kabhi to laut kar aao

Kabhi to laut kar aao
Mujhe bas itna samjhao
Kahan se seekhh li tum ne
Ada mujh ko bhulany ki
Tumhen mujh se shikwa tha,
Ya koi bhi shikayat thi,
Zehmat to zara si thi
Na koshish ki batane ki
Bhala yun chor kar apna,
Koi apno ko jata hai
Musalsal dukh ki barish mein
Jeevan bhar rulata hai
Abhi bhi rait geeli hai
Abhi sab naqash baqi hain
Gaey qadmon pe laut aao
Mujhe bus itna samjhao
Kahan se seekhh li tum ne
Ada mujh ko bhulany ki…

tum tu bichar gaey mgr sapny wohi rhy

tum tu bichar gaey mgr sapny wohi rhy
mosam bdl gaey mgr manzar wohi rhy
hoti rhin sargoshiyan tnhaeyon k sath
lehrain bdl gaen mgr sahil wohi rhy
kuch aisy taqdeer ny faisly kiye
duaen bdl gaen mgr daman wohi rhy
hum chah k bhi umar bhar nashad hi rhy
umar beet gai mgr jazby wohi rhy
kia hua jo rishton ki pehchaan bdl gae
WASI
hum bhi wohi rhy aur tum bhi wohi rhy

Bayan har kisi se hijr o wisaal karty ho,

Bayan har kisi se hijr o wisaal karty ho,
kiun apna sheher main jeena muhaal karty ho
bichar k bhala kabhi milay hain musafir bhi
kiun apnay apko yun hi nidhaal karty ho,
suna ha wo bhi tumhain poochta ha aisay hi
tum us k bary main jesay sawal karty ho
wo aashnaai usay yad hi na ho shayad,
wo jis k nam pe sab maah o sal karty ho,
Boho azeez tha shayad wo is liay Mohsin
bicharny walay ka ab tak malal karty ho,
______________________

Eid Poetry

On the day of Eid I want to share some Eid poetry to all of you… Eid is a day of celebrations and happiness.
Eid card
Eid mubarik poetry
best eid poetry
It also becomes a day of pain when some un-forget-able past  most beautiful memories knock at the door of your heat and mind…
Eid mubarikeid cardPoetry card

Poetry of Allama Iqbal

Poetry of Allama Iqbal

Mein soyi jo ik shab to dekha ye khwab
Barha aur jis say mera istaraab
Ye dekha ke mein jaa rahi hoon kahin
Andhera hai aur rah milti nahi
Larazta tha dar se mera baal baal
Kadam ka tha dehshat se uthna mahal
Jo kuch hosla paa ke aagay barhi
To dekha kataar ek larko ki thi
Zamarud si poshaak pehnay huay
Diye sab ke hatho mein jaltay huay
Wo chup chap thay agay peechay rawaan
Khuda janay jana tha un ko kaha
Isi soch mein thi ke mera laal
Mujhe is jamaat mein aya nazar
Wo peechay tha aur taiz chalta na tha
Diya us ke haathon mein jalta na tha
Kaha meine pehchan kar meri jaan
Mujhe chor kar aa gaye tum kahan
Judai mein rehti hoon mein be qarar
Parooti hoon har roz ushkoon ke haar
Na parwa meri zara tum ne ki
Gaye chor achi wafa tum ne ki
Jo bachay ne dekha mera paich o tab
Diya us ne munh phair kar yun jawab
Rulati hai tujh ko judai meri
Nahi us mein kuch bhi bhalai meri
Ye keh kar wo kuch dair tak chup raha
Diya phir dikha kar ye kehnay laga

Samajhti hai tu hogaya kia isay ?
Teray aansuoon ne hai bujhaya isay !!!!!!

ALLAMA IQBAL

A beautiful Nazm

A beautiful Nazm

Abhi woh dard baki hai ,
Agarchay waqt marham hai,
Magar kuch waqt lagta hai,
Kisi ko bhool janay mein,
Dobara dil basaanay mein ,
Abhi kuch waqt lagna hai,
Abhi woh dard baki hai,
Main kaisay naee ulfat main,
Apni zaat ko gum kar doun,
Kay maray Jism-O-Jaan mein,
Abhi woh fard baki hai,
Abhi uss shakhs ki mujh par,
Nigah-E-Sard baki hai,
Abhi to ishq k raastoon ki,
Mujh par gard baki hai,
ABHI WOH DARD BAKI HAI

Ek or shair…

Ek or shair…

Na janay kon sa Aasaib dil main rehta ha,
Jo bhi aa k thehra makaan chor gaya,

Urdu Poetry Iqbal Poetry

Here are some beautiful couplets….
Aankhoun ko nahi soojhta aazar kahan,
Ehsaas k talway main chupa khaar kahan,
jo jhaag sa uthaa tha kabhi apnay saroun,
Ab dekhiyay wo tarh pindaar kahan…

Allama Iqbal Beautiful Shair

Allama Iqbal Beautiful Shair

Teray Azad banoun ki na yeh duniya na woh duniya,
Yaha Marnay ki pabandi, wahan jeenay ki pabandi,
Allama Iqbal is a great poet of the east and has very motivating and inspirational poetry, One Pice of poetry i have put before you is a very deep and beautiful Shair…
Iqbal Poetry
A Beautiful Urdu Nazm ANAA
ANAA k sath kuch lamhay bitana theek ha lekin,
Anaa k sath sab lamhay bitana sakht mushkil ha,
Kamaan main is k teeroun ka zaheera kam nahi hota,
Nishana ho khata is ka,
Ye mumkin hi nahi janaan,
ANAA k hath se tootay huay taaray,

kabhi jurtay nahi dekhay,
Samandar kay kinaray jis tarah miltay nahi dekhay,
ANAA k sath kuch lamhay bitana theek ha lekin,
Anaa k sath sab lamhay bitana sakht mushkil ha,
A beautiful urdu nazm
A beautiful Urdu Nazm on EGO (ANAA) The Poet says that in Love The Ego and has to be compromised at some stage. Ego can destroy a relation as no one is ready to compromise it and the distance between Loveones always continue to be increasing. In the bow of EGO there are so many kinds of Poisonous arrow and the Ego does not miss its target…

Best Punjabi Poetry

Punjabi Poetry by Bulleh Shah

Bullah! ki jaana maen kaun
Na maen momin vich maseet aan
Na maen vich kufar diyan reet aan
Na maen paakaan vich paleet aan
Na maen moosa na pharaun.
Bullah! ki jaana maen kaun
Na maen andar ved kitaab aan,
Na vich bhangaan na sharaab aan
Na vich rindaan masat kharaab aan
Na vich jaagan na vich saun.
Bullah! ki jaana maen kaun.
Na vich shaadi na ghamnaaki
Na maen vich paleeti paaki
Na maen aabi na maen khaki
Na maen aatish na maen paun
Bullah! ki jaana maen kaun
Na maen arabi na lahori
Na maen hindi shehar nagauri
Na hindu na turak peshawri
Na maen rehnda vich nadaun
Bullah, ki jaana maen kaun
Na maen bheth mazhab da paaya
Ne maen aadam havva jaaya
Na maen apna naam dharaaya
Na vich baitthan na vich bhaun
Bullah, ki jaana maen kaun
Avval aakhir aap nu jaana
Na koi dooja hor pehchaana
Maethon hor na koi siyaana
Bulla! ooh khadda hai kaun
Bullah, ki jaana maen kaun
best punjabi poetry

Punjabi Poetry by Bulleh Shah English Translation

Bulla, I know not who I am
Nor am I the believer in mosque
Nor am I in idol worship
Nor am in the pure or the impure
Nor am I in the Vedas
Nor am I in the intoxicants
Nor am I in the carefree deviant
Nor am I union nor grief
Nor am I in the pure/impure
Nor am I of the water nor of the land
Nor am I fire nor air
Bulla, I know not who I am

Nor am I Arabic nor from Lahore
Nor am I the Indian city of Nagaur
Nor am I Hindu nor a Peshawari turk
Nor did I create the difference of faith
Nor did I create Adam-Eve
Nor did I name myself
Beginning or end I know just the self
Do not recognise ”the other one”
There’s none wiser than I
Who is this Bulla Shah
Bulla, I know not who I am

Beautiful Sad Urdu Poetry

Bara dushwar hota ha,
Zara sa faisla karna
K jeevan ki kahani ko,
kahan say yad rakhna ha,
kahan say bhool jana ha,
Isay kitna batana ha,
Isay kitna chupana ha,
kahan ro ro k hansna ha,
Kahan hans hans k rona ha,
kahan awaz dena ha,
Kahan khamosh rehna ha,
kahan rasta badalna ha
Kahan say laot ana ha,
bara dushwar hota ha,
zara sa faisla karna,,,
Beautiful urdu poetry
Really beautiful and sad urdu poetry

Urdu Sad Poetry | Ahmed Faraz

Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain,
ham ghazal main bhi hunar yaar k rakh dety hain,
Shayad aa jayen kabhi chashm e kharidar main ham,
jan o dil baich k bazar main rakh dety hain,
Zikr e janaan main yeh duniya ko kahan le aye,
log kiun mas’alay baykaar kay rakh dety hain,
Zindagi teri amanat ha magar kya keejay,
Log yeh bojh bhi thak har k rakh dety hain,
Ham to chahat main bhi Ghalib k Mukallid hain faraz,
Jis pe marty hain usay maar kay rakh dety hain,
This is a very beautiful urdu sad poetry for you guys. The designed version is also seen below.
Urdu Poetry

Urdu Sad Poetry | aey Ishq

Urdu Sad Poetry | aey Ishq

Some Urdu Sad poetry is what i am going o share with you today. Its really beautifully designed by the creator of this designed poetry. And the poetry is also of top class. This post is on the topic of Ishq…
You dil na lagay na dard uthay, mat roz milo to acha hai
Na pyar barhay na jhagra ho, tm door baso to acha hai…

Kisi phool say miltay chehray ko, meri duniya dekhna chahay gi
Jo paas tumharay kuch b nahi, tm door raho to acha hai…

Is pyar ki sunder bahoon mai, ab bahain dal k so b chuko
Yu g g k ab marnay say, mar mar k gio to acha hai…

Le kr zanjerain hathon mai, kuch log tumhari taak mai hain
Ab ishq humari galiyoon mai, na or phiro to acha hai
urdu sad poetry 
I hope you liked this post today on the topic of Urdu Sad Poetry…

Best Urdu Poetry and Ghazals

Here is a beautiful Ghazal in Urdu Poetry.

Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar,
Yeh udaas logun ka sheher ha yahan muskuranay ki zid na kar,
Main muhabbatoun ka dasa hua, mera gham hai hadd say barha hua,
Main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar,
Main teri ghazal to nahi hun jo, har ik kay lab per saji rahun,
Main tow aik misra-e-dard hun, mujhay gungunanay ki zid na kar,
Abhi laot aa abhi waqt ha abhi jan baki ha jism main,
Tujhay ilm hai meri jan hai tu, mujhay aazmany ki zid na kar,
A really amazing sad poetry ghazal is the above. I just loved the second shair “main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar”. Here is another one…
Jo Bhi Dukh Yad Na Tha Yad Aya,
Aaj Kya Jaaniay Kya Yad Aya,
Phir Koi Hath Hai Dil Par Jaisay,
Phir Tera Ehd-E-Wafa Yad Aya,

Jis Tarah Dhund Mein Liptay Huay Phool,
Ik aik NaQsh Tera Yad Aya,

Aisi Majburi Ke Alam Mein Koi,
Yad Aya Bhi To Kya Yad Aya,

Aye RafeQ Sar-E-Manzil Jakar,
Kya Koi Aablaapa Yaad Aaya,

Yaad Aaya Tha Bichhadna Tera,
Phir Nahi Yaad Ke Kya Yaad Aaya,

Jab Koi Zakhm Bana Daagh Bana,
Jab Koi Bhul Gaya Yaad Aaya,

Ye Mohabbat Bhi Hai Kya Rog,
Jisko Bhule Wo Sada Yaad Aaya…

Hope you liked my Urdu poetry :)

Receive all updates Via Facebook Just Click the Like Button Below